AAla Hazrat
Ahmed Raza Khan, commonly
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rahmatullāhi Alaihi Biography,
History or Wiki In Roman Urdu, Hindi, English | احمد رضاخان بریلوی | आला हजरत इमाम अहमद रज़ा खान बरेलवी
हिस्ट्री:
Alqaab:
Aa’la Hazrat, Mujaddid E Deen O Millat, Imam E Ahle Sunnat,
Azeem Ul Barkat, Faazil E Bareilwi.
Aala Hazrat Ki Wiladat:
Aap Ki Wilaadat 10 Shawwaal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) Ko
Bareilly (Uttar Pradesh) Me Hui.
Ala Hazrat Family:
Aap Ke Waalid Ka Naam Hazrat Maulana Naqi Ali Khan Bin
Maulana Raza Ali Khan Rahmatullāhi Alaihi Aur Waalida Ka Naam Husaini Khaanam
Binte Asfandar Yaar Beg Hai.
Aap Hazrat Malik Qais Abdur Rasheed Bin Ays Afghani
Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu Ki Nasl Se Hain.
Aap Ke Pardaada Hazrat Saeedullāh Khan 1151 Hijri (1739 A.D.)
Me Naadir Shaah Ke Saath Hindustan Aaye The Aur Yahi Sukoonat Pazeer Hue The.
Sultaan Muhammad Shaah Ne Un Ko Lashkar Ke Saalaar Banaaye The.
Aala Hazrat Ki Taleem Or Tarbiyat (Education):
Aap Bachpan Se Hi Bade Zaheen The.
Aap Ne 4 Baras Ki Umr Me Qur’an Majeed Mukammal Kiya.
Aap Ne Apne Waalid Se Dars E Nizaami Ki Taaleem Mukammal Ki.
Aap Ne Mirza Ghulaam Qaadir Baig Rahmatullāhi Alaihi Se
‘Meezan E Munsha’ab’ Ki Taaleem Haasil Ki.
Aap Ne Hazrat Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Shaah
Aal E Rasul Marehrawi, Shaikh-E-Kabeer Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain
Ahmad-E-Noori Marehrawi, Shaikh Ahmad Bin Zain-E-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur
Rahmān Makki Aur Shaikh Husain Bin Saalih Makki Se Bhi Taaleem Haasil Ki
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Biography
Aap Ne 6 Saal Ki Umr Me Rabi Ul Awwal Me Meelaad E Rasool Ke Unwaan Par Shaandar Taqreer Farmai.
8 Saal Ki Umr Me Arabi Zabaan Me 1 Kitaab Likhi.
14 Sha’abaan 1286 Hijri Ko 13 Baras 10 Maah Ki Umr Me Pehla Fatwa Likha Aur Dastaar E Fazeelat Ata Ki Gai.
Bachpan Me Aap Ne Maah E Ramazaan Me Roza Rakha. Bahot Garmi Hone Ki Wajah Se Aur Aap Par Abhi Roza Farz Nahi Tha Is Liye Aap Ke Waalid Aap Ko Ek Kamre Ke Andar Le Gaye Aur Kamra Band Karke Meethai Di Aur Kaha ‘Ise Kha Lo’. Aap Ne Kaha ‘Maine Roza Rakha Hai.’ Aap Ke Waalid Ne Kaha ‘Darwaaza Band Hai, Koi Nahi Dekhega. Tum Khaa Lo. Tum Abhi Bache Ho.’ Aap Ne Kaha ‘Bhale Koi Na Dekh Raha Ho. Magar Mera Rab Jis Ke Liye Maine Roza Rakha Hai Wo To Dekh Raha Hai.’
Ala Hazrat Ka Nikah:
1291 Hijri (1874 A.D.) Me 18 Saal Ki Umr Me Aap Ka Nikaah Sayyeda Irshaad Begum Bint Shaikh Fazle Husain Se Hua.
Aap Ke 2 Bete Aur 5 Betiya Hain.
2 Saahabzaade :
(1) Haamid Raza Khan Urfe Hujjat-Ul-Islaam
(2) Mustafa Raza Khan Urfe Huzoor Mufti E Aazam E Hind.
Aap Ki 2 Saahabzaadi Ka Nikaah Aap Ke Bhatije Hazrat Mufti Allama Hasnain Raza Khan Bin Hasan Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi Ke Saath Hua.
Shah Aale Rasool Barkati Marherawi Se Bait Wa Khilafat:
1294 Hijri (1877 A.D.) Me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuni Rahmatullāhi Alaihi Bareilly Shareef Aaye Aur Aap Un Ki Daawat Se Un Ke Saath Marehra Shareef Gaye. Jab Waha Pahunche To Aap Ne Farmaaya ‘Mujhe Mere Peer Ki Khushbu Aa Rahi Hai.’ Jab Aap Khaanqaah-E-BarKaatiya Me Pahunche To Hazrat Sayyed Shaah Aal E Rasool Barkaati Marherawi Rahmatullāhi Alaihi Ne Aap Ko Dekhkar Farmaaya ‘Aao. Main Kab Se Tumhara Intazaar Kar Raha Tha.’
Aap Bai’at Karke Hazrat Ke Mureed Ho Gaye.
Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-E-Noori Miyan Barkaati Rahmatullāhi Alaihi Ne Aap Se Farmaaya Ke ‘Yaha Mureed Hokar Khilaafat Haasil Karne Ke Liye Aane Waalo Ko Pehle Mujaahida Karna Padta Hai. Jab Wo Us Darje Par Pahunch Jaata Hai Tab Hi Use Khilaafat Aur Ijaazat Milti Hai.’
To Be continue.....
faiz anwar
Subcribe My you tube channel
https://www.youtube.com/channel/UC5__JmGM9j-QaC8-WJph20A
MASHA ALLAH
ReplyDeleteYeh kahan le ke aa gaya link YouTube se alag hai
ReplyDeleteJI link you tube channel ka hai . Or video yahi hai blog me
DeleteMasha Allah
ReplyDeleteShukriyaa bhai
Delete