Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Biography 2




Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Biography


1330 Hijri (1912 A.D.) Me Aap Ne ‘Kanz-Ul -Eimaan Fee Tarjuma Al-Qur’an’ Naam Se Qur’an Majeed Ka Urdu Tarjuma Kiya Hai.

Aap Ne Bahot Saari Mash’hoor Hamd E Baari Ta’ala, Na’at E Mustafa, Manqabat Aur Munajaat Likhi Hain.

Aap Ne 55 Se Zyada Uloom Par Taqreeban 1000 Kitaaben Likhi Hain.

Un Me Se Kuchh Mash’hoor Kitaaben :

(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)

(2) Ahkaam E Shariat

(3) Husaam-Ul-Harmain

(4) Fataawa Harmain

(5) Addaulat-Ul-Makkiya

(6) Al Fuyuzaatul Makkiya

(7) Azzubdat-Uz-Zakiyya

(8) Al Ijaazat-Ul-Mateena

(9) Kifl-Ul Faqeeh

(10) Aalil Ifaada Fee Taaziyatil Hind Wa Bayaane Shahaadat.

***********

Hijri (1904 A.D.) Me Aap Ne Jaamia Razawia Manzar E Islaam Ki Taameer Ki.

Aap Ke Mash’hoor Shaagird:

Aap Ke 2 Sahabzaade Hujjat-Ul-Islaam Haamid Raza Khan Aur Mufti E Aazam E Hind Mustafa Raza Khan, Sadr-Ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-Ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-Ud-Deen Muradabadi, Muhaddeeṡ-E-Aazam-E-Hind Sayyed Muhammad Ashrafi Kachhauchhawi, Malik-Ul-Ulama Zafar-Ud-Deen Bihari, Qutb-E-Madeena Zia-Ud-Deen Ahmad Al-Madani Mash’hoor Hain.

***********

Aap Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Marehrawi Qaadri Barkaati Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Aur Khalifa Hain.




Aap Se ‘Razawi’ Silsila Jaari Hai.



Aap Ke Khulfa:



(1) Hazrat Hujjat-Ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Mufti-E-Aazam-E-Hind Maulana Mustafa Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

(3) Hazrat Ustaad-E-Zamaan Maulana Hasan Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

(4) Hazrat Sadr-Ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazami Rahmatullāhi Alaihi

(5) Hazrat Sadr-Ul-Afaazil Allama Maulana Sayyed Naeem-Ud-Deen Muraadabadi Rahmatullāhi Alaihi

(6) Hazrat Qutb-Ul-Madeena Allama Shaikh Zia-Ud-Deen Ahmad Madani Rahmatullāhi Alaihi

(7) Hazrat Malik-Ul-Ulama Allama Maulana Sayyed Zafar-Ud-Deen Bihari Rahmatullāhi Alaihi

(8) Hazrat Burhaan-E-Millat Allama Burhaan-Ul-Haq Jabalpuri Rahmatullāhi Alaihi

(9) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuri Rahmatullāhi Alaihi

(10) Hazrat Mubbaligh-E-Aazam Allama Maulana Shaah Abdul Aleem Siddeeqi Merathi Rahmatullāhi Alaihi

(11) Hazrat Allama Maulana Mukhtaar Ahmad Siddeeqi Merathi Rahmatullāhi Alaihi

(12) Hazrat Sultaan-Ul-Waa’izeen Maulana Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhiti Rahmatullāhi Alaihi

(13) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayy Rahmatullāhi Alaihi

(14) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleel Rahmatullāhi Alaihi

(15) Hazrat Shaikh Ahmad Khudrawi Rahmatullāhi Alaihi

(16) Hazrat Shaikh Muhammad Bin Abi Bakr Rahmatullāhi Alaihi

(17) Hazrat Shaikh Muhammad Saeed Rahmatullāhi Alaihi

(18) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashraf Rahmatullāhi Alaihi

(19) Hazrat Raees-Ul-Muhaqqeeqeen Maulana Shaah Sulaimān Ashraf Bihari Rahmatullāhi Alaihi

(20) Hazrat Sher Besha E Ahle Sunnat Allama Maulana Hashmat Ali Khan Rahmatullāhi Alaihi

(21) Hazrat Maulana Jameel-E-Qaadri Rahmatullāhi Alaihi

(22) Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan Rahmatullāhi Alaihi

(23) Hazrat Budh Shaah Baaba Rahmatullāhi Alaihi.

***********

Ramazaan 1339 Hijri Me Aap Shadeed Beemaar Aur Kamzor The. Bareilly Shareef Me Sakht Garmi Thi. Shariat Me Shaikhe Faani Ko Ijaazat Hai Ki Roza Na Rakh Sake To Fidiya De Aur Naatwa Mareez Ko Ijaazat Hai Ki Qaza Kare. Lekin Aap Ne Farmaaya Ki ‘Barielly Me Shiddate Garmi Ke Sabab Mere Liye Roza Rakhna Mumkin Nahi Lekin Pahaad Par Thandak Hoti Hai Yaha Se Nainitaal Qareeb Hai. Muwali Pahaad Par Roza Rakha Jaa Sakta Hai. Mai Waha Jaane Par Qaadir Hu. Chunaanche Maahe Ramaaan Aap Ne Wahi Guzaara Aur Pure Roze Rakhe.

Kamzori Ke Sabab Aap Chalkar Masjid Tak Nahi Jaa Sakte The Magar Chaar Aadami Aap Ko Kursi Par Bitha Kar Masjid Tak Pahuchaate Aur Isi Tarah Ba-Jama’at Namaaz Ada Karte Rahe.

Aala Hazrat Ke Wisaal Ke Kuch Waqt Pehle Ka Waqia:

Aap Ke Wisaal Ke Kuchh Waqt Pehle Shaam (Syria) Ke Kisi Wali Ne Bait-Ul-Muqaddas Me Khwaab Me Dekha Ke Huzoore Akram Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ki Mehfil Me Aap Ke Aas-Paas Kuchh Ashaaba Baithe Hai Jaise Wo Kisi Ka Intazaar Kar Rahe The.

Unho Ne Puchha ‘Ya Rasool-Allāh Sallallāhu Alaihi Wa Sallam! Aap Kis Ka Intazaar Kar Rahe Hain?

Aap Ne Farmaaya Ke ‘Ahmad Raza Khan.’

Unho Ne Puchha ‘Ahmad Raza Khan Kaun Hain?’

Aap Ne Farmaaya Ke ‘Hindustan Ke Bareilly Ka Ek Aalim.’

Jab Un Ki Aankh Khuli To Foran Syria Se Bareilly Aane Ke Liye Nikal Pade. Lekin Jab Wo Waha Pahunche To Pata Chala Ke Imaam Ahmad Raza Khan Ka Inteqaal Ho Chuka Tha.

Ala Hazrat Ki Wasiyat:

Aap Ne Wisaal Se Pehle Wasiyat Ki Thi Ke ‘Meri Namaaz E Janaza Maulana Haamid Raza Khan Ya Allama Amjad Ali Aazami Padhayen Aur Mere Janaaza Ko ‘Ka’abe Ke Badr Ud Duja’ Padhte Hue Le Jaayen Aur Meri Qabr Ko Itni Gehri Banaana Jitni Meri Unchaai Hai.’

Apne Wisaal Ke 42 Minute Pehle Aap Ne Farmaya ‘Mere Kamre Se Paisa, Lifaafa, Card Wagairah Hata Do Kyun Ki Us Par Tasweer Bani Hoti Hai.’

Aala Hazrat Ka Wisaal, Wafaat or Urs:

Aap Ka Wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) Ko Azaan E Jum’aa Ke Dauraan 65 Saal Ki Umr Me Hua.



Aala Hazrat Ka Mazar/Dargah:

Aap Ka Mazaar Bareilly Shareef (Uttar Pradesh) Me Hai.

Allāh Ta’ala Us Ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me Aur Aa’la Hazrat Imaam E Ahle Sunnat Ahmad Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi Aur Tamaam Auliya Allāh Ke Waseele Se Sab Ko Mukammal Ishq E Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifaazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae. Aur Sab Ko Duniya Wa Aakhirat Me Kaamyaabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaa’iz Muraado Ko Puri Farmae.
Aameen.


Please Subcribe  Our You tube channel 


you tube


https://www.youtube.com/channel/UC5__JmGM9j-QaC8-WJph20A

Comments

  1. بہت عمدہ اللہ رب العزت آپ کی اس محنت کو قبول فرمائے

    ReplyDelete
  2. MASHA ALLAH,,,BAHUT UMDA
    ALLAH RABBUL IZZAT AAPKI MEHNAT KO QUBOOL FARMAYE 🤲

    ReplyDelete
  3. ماشاءاللہ سبحان اللہ بہت خوب بھائی

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

AAla Hazrat

AALA HAZRAT WRITEEN BOOKS