Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Biography 2
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Biography 1330 Hijri (1912 A.D.) Me Aap Ne ‘Kanz-Ul -Eimaan Fee Tarjuma Al-Qur’an’ Naam Se Qur’an Majeed Ka Urdu Tarjuma Kiya Hai. Aap Ne Bahot Saari Mash’hoor Hamd E Baari Ta’ala, Na’at E Mustafa, Manqabat Aur Munajaat Likhi Hain. Aap Ne 55 Se Zyada Uloom Par Taqreeban 1000 Kitaaben Likhi Hain. Un Me Se Kuchh Mash’hoor Kitaaben : (1) Fataawa Razawiya (12 Jild) (2) Ahkaam E Shariat (3) Husaam-Ul-Harmain (4) Fataawa Harmain (5) Addaulat-Ul-Makkiya (6) Al Fuyuzaatul Makkiya (7) Azzubdat-Uz-Zakiyya (8) Al Ijaazat-Ul-Mateena (9) Kifl-Ul Faqeeh (10) Aalil Ifaada Fee Taaziyatil Hind Wa Bayaane Shahaadat. *********** Hijri (1904 A.D.) Me Aap Ne Jaamia Razawia Manzar E Islaam Ki Taameer Ki. Aap Ke Mash’hoor Shaagird: Aap Ke 2 Sahabzaade Hujjat-Ul-Islaam Haamid Raza Khan Aur Mufti E Aazam E Hind Mustafa Raza Khan, Sadr-Ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-Ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-Ud-Deen Muradabadi, Muhaddeeṡ-E-Aazam-E-Hind Sayyed Muhammad Ashrafi Kachhauch...